Tanur-e-waqt Ki Hiddat Se Dar Gae Hum Bhi

tanur-e-waqt ki hiddat se Dar gae hum bhi

magar tapish mein tape to nikhar gae hum bhi

jahan pahunch ke musafir ke ruKH badalte hain

rah-e-hayat ke us moD par gae hum bhi

jala diya tha safina utar ke sahil par

junun-e-fath mein kya kya na kar gae hum bhi

jadid rang se maddham hua na rang-e-kuhan

qadim rang mein wo rang bhar gae hum bhi

qadam qadam pe sitam sah ke ji rahe the jise

usi hayat ki banhon mein mar gae hum bhi

na kuchh junun-e-tajassus ka puchhiye aalam

kahan kahan se na 'kausar' guzar gae hum bhi

(726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tanur-e-waqt Ki Hiddat Se Dar Gae Hum Bhi In English By Famous Poet Kausar Siwani. Tanur-e-waqt Ki Hiddat Se Dar Gae Hum Bhi is written by Kausar Siwani. Read famous Poem Tanur-e-waqt Ki Hiddat Se Dar Gae Hum Bhi for youth and Student by Kausar Siwani. Free Download Tanur-e-waqt Ki Hiddat Se Dar Gae Hum Bhi in PDF.