Fana Ke Raste Phulon Se Bhar Gae Shayad

fana ke raste phulon se bhar gae shayad

sitare manzil-e-shab se guzar gae shayad

na aah dil mein na aankhon mein ashk baqi hain

hawas rishta-e-gham par kar gae shayad

jo nur bharte the zulmat-e-shab ke sahra mein

wo chand tare falak se utar gae shayad

mahakte phul jo yaadon mein muskuraate the

nafas ki tez hawa se bikhar gae shayad

wafa ki rah mein jo qafile rawan the kahin

wo manzilon ka pata hi bisar gae shayad

chalo yahan se kahin aur mar rahen mamun

tuyur-e-gham bhi makan KHali kar gae shayad

(332) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fana Ke Raste Phulon Se Bhar Gae Shayad In English By Famous Poet Khaleel Mamoon. Fana Ke Raste Phulon Se Bhar Gae Shayad is written by Khaleel Mamoon. Read famous Poem Fana Ke Raste Phulon Se Bhar Gae Shayad for youth and Student by Khaleel Mamoon. Free Download Fana Ke Raste Phulon Se Bhar Gae Shayad in PDF.