Is Shahr-e-sang-e-saKHt Se Ghabra Gaya Hun Main

is shahr-e-sang-e-saKHt se ghabra gaya hun main

jangal ki KHushbuon ki taraf ja raha hun main

manzar ko dekh dekh ke aankhen chali gain

hathon se aaj apna badan DhunDhta hun main

chilla raha hai koi mere lams ke liye

andhiyari wadiyon se nikal bhagta hun main

qatil ke hath mein koi talwar hai na tegh

wo muskura raha hai mara ja raha hun main

mujh ko wo mere dil ke ewaz de sakenge kya

'mamun' duniya walon se kya mangta hun main

(368) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Shahr-e-sang-e-saKHt Se Ghabra Gaya Hun Main In English By Famous Poet Khaleel Mamoon. Is Shahr-e-sang-e-saKHt Se Ghabra Gaya Hun Main is written by Khaleel Mamoon. Read famous Poem Is Shahr-e-sang-e-saKHt Se Ghabra Gaya Hun Main for youth and Student by Khaleel Mamoon. Free Download Is Shahr-e-sang-e-saKHt Se Ghabra Gaya Hun Main in PDF.