Jhulaste Lamhon Ka Lams Le Kar Main Chal Raha Hun

jhulaste lamhon ka lams le kar main chal raha hun

KHud apni dozaKH ki aag kha kar main pal raha hun

safar ki rudad bhi meri kuchh ajib si hai

main aKHzari pahaDiyon se gir kar sambhal raha hun

mera wajud o adam bhi ek hadsa naya hai

main dafn hun kahin kahin se nikal raha hun

chita bujha de koi koi asthiyan baha de

main aarzu mein sahar ki sadiyon se jal raha hun

samundaron ka swad meri zaban par hai

main sungh kar machhliyon ki KHushbu machal raha hun

nahin hai 'mamun' sath mere yahan pe koi

akela hi zindagi ki rahon pe chal raha hun

(344) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jhulaste Lamhon Ka Lams Le Kar Main Chal Raha Hun In English By Famous Poet Khaleel Mamoon. Jhulaste Lamhon Ka Lams Le Kar Main Chal Raha Hun is written by Khaleel Mamoon. Read famous Poem Jhulaste Lamhon Ka Lams Le Kar Main Chal Raha Hun for youth and Student by Khaleel Mamoon. Free Download Jhulaste Lamhon Ka Lams Le Kar Main Chal Raha Hun in PDF.