Na Nind Hai Na KHwab Hai Na Yaad Hai Na Raat Hai

na nind hai na KHwab hai na yaad hai na raat hai

zamin na aasman hai zaman na kaenat hai

ye jism-o-jaan ka qafila hai rasta pe kaun se

na manzilon ki aas hai na rahrawon ka sath hai

umid o aarzu ke rang kyun phike lag rahe hain ab

kami hai aab-o-gil mein kuchh lahu mein koi baat hai

hai un ke waste tamam fath-o-kaamraniyan

mere liye hamesha se jo hai to sirf mat hai

main lahza lahza kaT ke gir raha hun andhi khai mein

ye zindagi ka rasta nahin hai pul-siraat hai

hai wasl apne-ap se firaq apne-ap se

nahin hai koi bhi yahan bas ek meri zat hai

'mamun' azal se ta-abad nahin hai koi raushni

KHala mein dur dur tak bas ek azim raat hai

(323) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Nind Hai Na KHwab Hai Na Yaad Hai Na Raat Hai In English By Famous Poet Khaleel Mamoon. Na Nind Hai Na KHwab Hai Na Yaad Hai Na Raat Hai is written by Khaleel Mamoon. Read famous Poem Na Nind Hai Na KHwab Hai Na Yaad Hai Na Raat Hai for youth and Student by Khaleel Mamoon. Free Download Na Nind Hai Na KHwab Hai Na Yaad Hai Na Raat Hai in PDF.