Mujhe Abhi Bahut Dur Jaana Hai

kya pairon ki thakan is safar ko rok sakti hai

kya raste ke roDe mere irade ko toD sakte hain

kya main yahan se wapas lauT jaunga

kya main aur aage chal nahin paunga

nahin nahin

shayad mujhe jaana hai bahut dur

go hun main thakan se chur

aur be-zar har manzar se

jo bar bar lauT kar nazar ki uktahaT ban jata hai

wahi aasman

wahi zamin

wahi chand wahi sitare

chandni mein chamakte aur mahakte wahi phul

hathon mein chubhte wahi babul

wahi mere man ko salaKHon mein lahu karne wale aqwal

lekin shayad uktahaT bhi mane na ho

qadmon ki

shayad zindagi qaidi na bane lamhon ki

ye to hawa-e-barg-o-bar ki tarah hai

jo kabhi na kabhi guzar jaegi

mere zehn ke KHazane ki upri sath ko bhi

kabhi na chhu paegi

shayad abhi aage bahut dur jaana hai

aur in bar bar aate lamhon

har bar aankh ke samne ubharte manzaron

dariyaon sahraon jangalon

ganw aur shahron

ke bhiD se mujhe koi naya rang

nikalna hoga

apne paraganda zehn ko qabr mein dafn kar ke

naya but naya mandir banana hoga

purane lafzon se naya lafz

purane maani se nae maani

KHalq karne honge

yahi nahin

mujhe parina kanon mein

samaaton ke nae paimane

aankhon ke liye

nae manzar-name se tartib dene honge

chalte chalte mere jute bhi ghis gae hain

mujhe uff juton ko hi badalna hoga

aur aankhon par nai ainak lagani hogi

taki purane shishe mein nae rang

purane na dikhai den

shayad ye thakan mujhe rok na pae

shayad main in roadon ko phalang dun

shayad apne hathon se babulon ko noch

phenkun

shayad main sin ki salaKHon ko toD kar

bahar aa jaun

aur malgaji chandni ke aks ghar

apne lahu se surKH-ru kar dun

aur qadam baDhate aage nigal jaun

shayad mujhe abhi bahut dur jaana hai

(343) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Abhi Bahut Dur Jaana Hai In English By Famous Poet Khaleel Mamoon. Mujhe Abhi Bahut Dur Jaana Hai is written by Khaleel Mamoon. Read famous Poem Mujhe Abhi Bahut Dur Jaana Hai for youth and Student by Khaleel Mamoon. Free Download Mujhe Abhi Bahut Dur Jaana Hai in PDF.