Kya Batlaun Kaise Din Main KaT Raha Hun

kya batlaun kaise din main kaT raha hun

moti hun aur raste mein bekar paDa hun

lambi lambi caron walon se achchha hun

rukhi-sukhi jo milti hai kha leta hun

tanhai mein akasr main socha karta hun

suraj chand sitare kya hain aur main kya hun

baadal parbat dariya chashme jangal sahra

kyun bhate hain main in sab ka kya lagta hun

aag aur pani mein kahte hain bair baDa hai

lekin main to us se mil kar KHush hota hun

itni nafrat yaro mujh se kyun karte ho

main bhi gulshan ka ek gul hun tum jaisa hun

mere chahne walon ka bhi ek halqa hai

main bhi gulzaron ki wadi ka jharna hun

mere chaal-chalan se bhi kuchh hasil kar lo

main bhi ek autar ka sa darja rakhta hun

ek hi manzar ne aankhon ko Dhanp rakha hai

roz-e-awwal se ye suraj dekh raha hun

KHud se jab baaten karne ko ji chaha hai

ghar se uTh kar nadi kinare ja baiTha hun

mere haal se duniya ka andaza kar lo

main phaldar shajar ka ek pila patta hun

dhyan ko tanhai ke ghar ka peD samjhiye

main bhi us ke sae mein barson baiTha hun

jaane kis pal ki KHushbu hai mere aage

jaane kis duniya ke pichhe dauD raha hun

kaise kaise log guzarte hain nazron se

sara din main kaise kaise dukh sahta hun

mere KHadd-o-KHal ko dekho aur pahchano

main bhi apni irfani ka katba hun

bas ke pahiye KHak uDa jate hain mujh par

wo kya jaanen kaun hun aur kis ka chehra hun

ata-pata kya puchh rahe ho mera logo

rampuri shair hun aur ghazlen kahta hun

(439) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Batlaun Kaise Din Main KaT Raha Hun In English By Famous Poet Khaleel Rampuri. Kya Batlaun Kaise Din Main KaT Raha Hun is written by Khaleel Rampuri. Read famous Poem Kya Batlaun Kaise Din Main KaT Raha Hun for youth and Student by Khaleel Rampuri. Free Download Kya Batlaun Kaise Din Main KaT Raha Hun in PDF.