Siyah-KHana-e-dil Par Nazar Bhi Karta Hai

siyah-KHana-e-dil par nazar bhi karta hai

meri KHataon ko wo darguzar bhi karta hai

parind unchi uDanon ki dhun mein rahta hai

magar zamin ki hadon mein basar bhi karta hai

tamam umr ke dariya ko moD deta hai

wo ek harf jo dil par asar bhi karta hai

wo log jin ki zamana hansi uData hai

ek umr baad unhen mo'tabar bhi karta hai

jala ke dasht-e-talab mein ummid ki shamen

aziyyaton se hamein be-KHabar bhi karta hai

(348) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Siyah-KHana-e-dil Par Nazar Bhi Karta Hai In English By Famous Poet Khaleel Tanveer. Siyah-KHana-e-dil Par Nazar Bhi Karta Hai is written by Khaleel Tanveer. Read famous Poem Siyah-KHana-e-dil Par Nazar Bhi Karta Hai for youth and Student by Khaleel Tanveer. Free Download Siyah-KHana-e-dil Par Nazar Bhi Karta Hai in PDF.