Haal Hawa Jab Puchhne Aai Hum Majburon Se

haal hawa jab puchhne aai hum majburon se

koi baat kahan ban pai hum majburon se

aaj sabhi dukh aansu ban kar aankh mein tair gae

khel rahi thi khel KHudai hum majburon se

wo be-parda wo be-parwa wo yak-sur yak-tal

baat kare ya wo harjai hum majburon se

panw toD ke baiTh rahe hain rah ke patthar bhi

chah rahe the rahh-numai hum majburon se

kis aahaT ki bahaar se pag pag dhul ke phul khile

kis mausam ne Thokar khai hum majburon se

kis ke lams ke aks-numa hain KHushbu ke jhonke

puchh na baiThe gul-e-sahrai hum majburon se

baal nichoD ke jhaTke kis ne dukh ke dal-baadal

puchh rahi hai ye purwai hum majburon se

dard ke ruKH darwaze rakhen chand ke ruKH khiDki

kash kirae wo chunwai hum majburon se

kar-e-numu aaghaz rahega gor ho ya gulshan

rut ne sikhi gul-arai hum majburon se

aankhen honTon ke tale bhi khulte dekhengi

duniya chhin to le goyai hum majburon se

rah dikhane wale kis din kis pal aa pahunchen

kab chhin jae ye binai hum majburon se

nur-e-charagh taq-e-taghaful dil tarik na kar

bol kuchh ai mah-e-yaktai hum majburon se

zahr-piyala pi lo 'KHalid' sulag uTho 'KHalid'

kya kya kahti thi shahnai hum majburon se

(384) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haal Hawa Jab Puchhne Aai Hum Majburon Se In English By Famous Poet Khalid Ahmad. Haal Hawa Jab Puchhne Aai Hum Majburon Se is written by Khalid Ahmad. Read famous Poem Haal Hawa Jab Puchhne Aai Hum Majburon Se for youth and Student by Khalid Ahmad. Free Download Haal Hawa Jab Puchhne Aai Hum Majburon Se in PDF.