Khula Mujh Par Dar-e-imkan Rakhna

khula mujh par dar-e-imkan rakhna

mere maula mujhe hairan rakhna

yahi ek marhala manzil na Thahre

yahi ek marhala aasan rakhna

mere dil ka waraq nikle na sada

koi KHwahish koi arman rakhna

ye dil taq-e-charagh-e-zar na Thahre

mere malik mujhe nadan rakhna

mere haalat mujh ko chhu na paen

mujhe har haal mein insan rakhna

bhari rakhna mere maula ye aanhken

dukhon ki barishon ka man rakhna

mere sathi bhi mujh se be-nawa hain

bisaten dekh kar tawan rakhna

ye din kyunkar chaDha wo shab Dhali kyun

mujhe aaya na itna dhyan rakhna

mujhe bhi aam ya gumnam kar de

ki ek aazar hai pahchan rakhna

asir-e-umr ko aaya na ab tak

kitab-e-hijr ka unwan rakhna

hawa ki tarah sahra se guzar ja

safar mein kya sar-o-saman rakhna

(445) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khula Mujh Par Dar-e-imkan Rakhna In English By Famous Poet Khalid Ahmad. Khula Mujh Par Dar-e-imkan Rakhna is written by Khalid Ahmad. Read famous Poem Khula Mujh Par Dar-e-imkan Rakhna for youth and Student by Khalid Ahmad. Free Download Khula Mujh Par Dar-e-imkan Rakhna in PDF.