Main Dara Nahin Main Daba Nahin Mein Jhuka Nahin Main Bika Nahin

main Dara nahin main daba nahin mein jhuka nahin main bika nahin

magar ahl-e-bazm mein koi bhi to ada-shanas-e-wafa nahin

mere jism-o-jaan pe usi ke sare azab sare sawab hain

wahi ek harf-e-KHud-agahi ki abhi jo main ne kaha nahin

na wo harf-o-lafz ki dawari na wo zikr o fikr-e-qalandari

jo mere lahu se likhi thi ye wo qarardad-e-wafa nahin

abhi husn o ishq mein fasle adam-e'timad ke hain wahi

unhen aitabar-e-wafa nahin mujhe aitabar-e-jafa nahin

wo jo ek baat thi guftani wahi ek baat shunidni

jise main ne tum se kaha nahin jise tum ne mujh se suna nahin

main salib-e-waqt pe kab se hun mujhe ab to is se utar lo

ki saza bhi kaT chuka hun main mera faisla bhi hua nahin

mera shahr mujh pe gawah hai ki har ek ahd-e-siyah mein

wo charagh-e-rah-e-wafa hun main ki jala to jal ke bujha nahin

(3742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Dara Nahin Main Daba Nahin Mein Jhuka Nahin Main Bika Nahin In English By Famous Poet Khalid Alig. Main Dara Nahin Main Daba Nahin Mein Jhuka Nahin Main Bika Nahin is written by Khalid Alig. Read famous Poem Main Dara Nahin Main Daba Nahin Mein Jhuka Nahin Main Bika Nahin for youth and Student by Khalid Alig. Free Download Main Dara Nahin Main Daba Nahin Mein Jhuka Nahin Main Bika Nahin in PDF.