Lahu Ka Zaiqa

sab jhuT bolte hain

main jab man ke peT mein tha tab bhi jhuT nahin bolta tha

main ne man ke peT mein

taza taza garm surKH KHun piya tha

paidaish ke baad safed gaDha ThanDa KHun mujhe mila

jab se main musalsal KHun pi raha hun

main ne bachpan se laDakpan tak

laDakpan se jawani tak

bar-ha is KHun ka zaiqa chakha hai

main is ke baghair zinda nahin rah sakta

is ke marne se

mera tamam jism aashna hai

aksar jab mere jism par koi zaKHm lagta hai to

be-saKHta zaban is taraf lapakti hai

aur mujhe

wahi zaiqa yaad aane lagta hai

jo main ne pahli bar

man ke peT mein chakha tha

(489) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahu Ka Zaiqa In English By Famous Poet Khalid Ghani. Lahu Ka Zaiqa is written by Khalid Ghani. Read famous Poem Lahu Ka Zaiqa for youth and Student by Khalid Ghani. Free Download Lahu Ka Zaiqa in PDF.