KHak The Ghuncha-lab Aur KHwab Thi Lahje Ki Khanak

KHak the ghuncha-lab aur KHwab thi lahje ki khanak

jhaD gaya qabr mein jab husn-e-sarapa ka namak

wo jin aankhon mein thi barsat ke manzar ki jhalak

ab un aankhon mein safedi na siyahi na dhanak

wo surahi si jo gardan ki hai TuTi-phuTi

wo kamar hi na rahi jis mein ki paida ho lachak

qabr ki KHak hi ghaza hai wahi zinat hai

wan na afshan na hi surKHi na hi jhumar na tilak

(612) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHak The Ghuncha-lab Aur KHwab Thi Lahje Ki Khanak In English By Famous Poet Khalid Iqbal Taib. KHak The Ghuncha-lab Aur KHwab Thi Lahje Ki Khanak is written by Khalid Iqbal Taib. Read famous Poem KHak The Ghuncha-lab Aur KHwab Thi Lahje Ki Khanak for youth and Student by Khalid Iqbal Taib. Free Download KHak The Ghuncha-lab Aur KHwab Thi Lahje Ki Khanak in PDF.