America Ke Kutte

hum ne dekhe hain wo U-S ke nirale kutte

kaTne wale nahin bhunkne wale kutte

meri mahbuba-e-maghrib ne bhi pale kutte

main sambhaala na gaya us ne sambhaale kutte

silsile pyar ke haiwan se joDe us ne

main to insan hun kutte bhi na chhoDe us ne

god mein le liya madam ne paraya kutta

kabhi chumi kabhi aaankhon se lagaya kutta

baiThna tha jahan shauhar ko biThaya kutta

aaya husband to kahne lagin aaya kutta

is mudaraat pe shauhar ko bhi hirs aati hai

apne hathon se wo buldog ko nahlati hai

har taraf kucha-e-dildar mein zam kutte hain

zulm koi bhi ho arbab-e-sitam kutte hain

hum pe kahte hain imarat ka bharam kutte hain

aur kutte ye samajhte hain ki hum kutte hain

hath mein le ke tab-o-tab jahan-banon ki

rassiyan khinchte rahte hain ye insanon ki

hae wo kutta-shanason ki siyasi chaalen

jo faqat apni baqa ke liye kutte palen

sath kutte ke wo burgar kabhi pizza kha len

aur hamein dekhte hi aiD ki haDDi Dalen

hum se kahte hain zara aur hilao dum ko

dum hilane ka saliqa nahin aata tum ko

ek kutte ne kaha main jo hasin rahta hun

kyun samajhte ho mujhe KHak-nashin rahta hun

jahan A-C ki sahulat ho wahin rahta hun

main koi tisri duniya mein nahin rahta hun

mujh ko khane mein jo KHurak yahan milti hai

wo tere mulk ke logon ko kahan milti hai

hain mere shahr ke kutte jo purane wale

wo hain panjon se mujhe zaKHm lagane wale

Tang alfaz-o-maani mein uDane wale

meri taKHliq ko danton se chabane wale

har ishaat pe meri chaunkte rah jate hain

main guzar jata hun ye bhunkte rah jate hain

(502) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

America Ke Kutte In English By Famous Poet Khalid Irfan. America Ke Kutte is written by Khalid Irfan. Read famous Poem America Ke Kutte for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download America Ke Kutte in PDF.