Chand Ki Fariyaad

chand ne mujh se kaha ai shaer-e-fikr-e-azal

mere bare mein bhi likh de koi sanjida ghazal

har talluq toD rakkha hai hilal-e-id se

tujh ko fursat hi nahin hai mah-washon ki did se

rasm-e-didar-e-hilal-e-id, afsana hui

baam par us dam chaDhe, jis waqt farzana hui

le ke nazrana kameti ne ujala hai mujhe

gar nahin nikla, zabardasti nikala hai mujhe

mein jo be-marzi nikal aaya to DanTa hai bahut

maulwi ne muKHtalif KHanon mein banTa hai bahut

is ko mat follow karo, is ki tariqat mand hai

tum bareilly ke ho aur ye deobandi chand hai

ye jo KHun-alud hai, afghaniyon ka chand hai

muKHtalif TukDon mein pakistaniyon ka chand hai

ek karachi se hai nikla ek pas-e-lahore hai

sindh ka chand aur hai punjab ka chand aur hai

wo jo ham-sae ki biwi hai ghazala chand hai

aur us ke sath jo rahta hai kala chand hai

shaeron ne apne sheron mein bahut pela mujhe

'mir' o 'ghaalib' ne bhi samjha KHak ka Dhela mujhe

sher mein, rashk-e-qamar laila ko farmane lage

tube-light ko hilal-e-id batlane lage

apni biwi se kaha untiswin ka chand ho

aur paDosan se kaha tum chaudhwin ka chand ho

aam si aurat ko mah-para bana kar rakh diya

chand ko TuTa hua tara bana kar rakh diya

chand par jis din se insan ke qadam paDne lage

chandni jin se ho aaise balb kam paDne lage

main zamin se dur hun lekin bahut nazdik hun

ai zamin walo main tum se dur rah kar Thik hun

main zamin par aa gaya to har bashar le jaega

sab se pahle ten-parsenT apne ghar le jaega

(341) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Ki Fariyaad In English By Famous Poet Khalid Irfan. Chand Ki Fariyaad is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Chand Ki Fariyaad for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Chand Ki Fariyaad in PDF.