Gharib-KHane Mein

KHuda ki qudrat wo nak apni baDe gharane mein ghis gae hain

jo aqraba se akaD rahe the wo samdhiyane mein ghis gae hain

hamare ghar tin roz rah kar chale gae wo black-beauty

magar kam-az-kam pachas sabun gharib-KHane mein ghis gae hain

mili hai jab bhi unhen wazarat assembly ho gai muattal

hamari millat ke rahnuma to halaf uThane mein ghis gae hain

jo tere walid ne meri shadi pe ek joDi diye the jute

wo tere maike ki shah-rahon pe aane jaane mein ghis gae hain

sahar ko uThti nahin hain begam baghair tabla baghair sargam

hamare ghar ke tamam bartan unhen jagane mein ghis gae hain

mushaere mein sunai hum ne jo DheDh-sau sher ki musaddas

bahut se shaer to rakkhe rakkhe hi shamiyane mein ghis gae hain

(349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gharib-KHane Mein In English By Famous Poet Khalid Irfan. Gharib-KHane Mein is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Gharib-KHane Mein for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Gharib-KHane Mein in PDF.