KHwatin Ka Bank

sunte hain shahr mein jo KHwatin ka hai bank

parwez ka nahin hai ye parwin ka hai bank

rakkhi hain is liye yahan KHatun manager

is mohkme ko chahiye baatun manager

ladies ittihad jo beganagi se hai

kya jaane KHauf kya unhen mardangi se hai

nok-e-zaban bhi chalne lagi hai zaban ke sath

beTi bhi hai sharik laDai mein man ke sath

har naznin ke samne ek beauty-box hai

baqi rakha hai ghar mein ye thoDa sa aks hai

baiThi hain apne samne gesu sanwar ke

locker mein rakh diya hai dupaTTa utar ke

chaTKHare hain zaban pe nazar mein ishaare hain

har mah-wash ke pars mein imli kaTare hain

jo baat kar rahi hain kamai ke shobe ki

wo head hain lagai-bujhai ke shobe ki

kal sas se zaban ke bal par laDi hain ye

ilm-e-lissniyat mein phd hain ye

khate ki in ko fikr na ledger ki fikr hai

nandon ki ghibaten hain to dewar ka zikr hai

shadi ke baad nuqta banin dash ho gain

pahle jo check-book thin wo ab cash ho gain

har naznin ki umr bhi KHufiya account hai

kya jaane in ki umr mein kitna amount hai

ye husn ka KHazana koi kya dabochega

Daku bhi Daka Dalne se pahle sochega

nakara shauharon ko bhi debit karaie

niswaniyat yahan se credit karaie

(364) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwatin Ka Bank In English By Famous Poet Khalid Irfan. KHwatin Ka Bank is written by Khalid Irfan. Read famous Poem KHwatin Ka Bank for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download KHwatin Ka Bank in PDF.