Maine Bhi Aam Rakh Diya

goron ne mere des par apna nizam rakh diya

ek ghulam uTha liya ek ghulam rakh diya

tum ne KHuda ke ghar mein bhi fitna-e-am rakh diya

mere imam ki jagah apna imam rakh diya

us ne to meri yaad ko dil mein chhupaya is tarah

jaise swiss-bank mein mal-e-haram rakh diya

shirin-labon ko dekh ke main kha raha tha mango

us ne jo honT si liye main ne bhi aam rakh diya

ghar mein lughat na thi koi jaldi mein us ke bap ne

binat-e-siyah-fam ka chandni nam rakh diya

baiThi hui hai aaj wo baalon ki wig utar kar

goya sharab phenk kar mez pe jam rakh diya

mujh ko bula ke ghar mein ek shaer-e-ba-kamal ne

taza taam ki jagah taza kalam rakh diya

(404) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Bhi Aam Rakh Diya In English By Famous Poet Khalid Irfan. Maine Bhi Aam Rakh Diya is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Maine Bhi Aam Rakh Diya for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Maine Bhi Aam Rakh Diya in PDF.