TaKHrib-karon Ki Shahadat

ek din jannat mein bola ek shahid-e-haq-shanas

maslak-e-haq par nahin hai meri jannat ki asas

qatil o zalim dar-e-jannat pe manDlane lage

arz-e-pakistan se kitne shahid aane lage

samne jannat ke ye jo KHema-e-arwah hai

ye inhin jali shahidon ki iqamat-gah hai

ye shahid-e-haq samajh baiThe hain apne-ap ko

main to jannat mein na aane dunga in ke bap ko

ye agar jannat mein daKHil ho gae sirf ek bar

phir kahan jaenge hum jaise shahid-e-haq-shiar

dudh ki naharon mein kuchh pani mila denge ye log

shahad ki naddi ko Theke par uTha denge ye log

qaumiyat ka masala phir se jaga denge ye log

meri jannat ke kai sube bana denge ye log

dahshaten jannat mein le aaenge pakistan se

hur ko ighwa kara lenge kisi ghilman se

aaie main in shahidon ko milaun aap se

aap thoDi dur hain jannat ke bus-stop se

aap se miliye ye dushman ke bahut hamdard hain

aap shaklan hi nahin naslan bhi dahshat-gard hain

dahshaten ek policy hain jis ke maker aap hain

tisri duniya ke pahle high-jecker aap hain

ye shahid-e-ba-wafa hain marte the bol ke

rail ki paTri ke purze darmiyan se khol ke

lamha-e-Daka-zani sine pe goli khai thi

aap ne ek bank ke andar shahadat pai thi

aap pakistan ke ek rahbar-e-mumtaz hain

sainkaDon ruhen yahan bhi in ki ham-awaz hain

phir shahid-e-haq ye bola ai KHuda-e-zul-jalal

aalam-e-arwah se jali shahidon ko nikal

qadir-e-mutlaq hai tu in ko dobara age de

in shahidon ko tu duniya hi mein wapas bhej de

(409) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TaKHrib-karon Ki Shahadat In English By Famous Poet Khalid Irfan. TaKHrib-karon Ki Shahadat is written by Khalid Irfan. Read famous Poem TaKHrib-karon Ki Shahadat for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download TaKHrib-karon Ki Shahadat in PDF.