Tum To Bas Lashen UThane Ke Liye Zinda Ho

tum ko nobel ki zarurat hi nahin hai baba

koi eazaz koi taKHt koi taj-e-shahi

koi tamgha nahin duniya mein tumhaare qad ka

tum ne is mulk ke logon pe hukumat ki hai

tum ne KHidmat nahin ki tum ne ibaadat ki hai

koi masnad bhi tumhaare liye tayyar nahin

tum kisi aur sataish ke bhi haqdar nahin

lekin aati hai kahin se ye sada-e-bar-haq

jhilmilati hui aankhon ki nami mein tum ho

sab ke dukh-dard ke sathi ho ghami mein tum ho

sab ki KHushiyon mein ho maujud dukhon mein tum ho

sab ki sanson mein mahakte ho dilon mein tum ho

isi KHidmat mein hai poshida tumhaara nobel

tum yahan KHak-nashinon ke numainda ho

sirf bewaon yatimon ke liye kaam karo

tum to bas lashen uThane ke liye zinda ho

(417) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum To Bas Lashen UThane Ke Liye Zinda Ho In English By Famous Poet Khalid Irfan. Tum To Bas Lashen UThane Ke Liye Zinda Ho is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Tum To Bas Lashen UThane Ke Liye Zinda Ho for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Tum To Bas Lashen UThane Ke Liye Zinda Ho in PDF.