Zauq-e-nazzara Liye Hum Bhi KHabar Tak Aae

zauq-e-nazzara liye hum bhi KHabar tak aae

shab ke pahlu se uThe aur sahar tak aae

bu-e-gul baad-e-saba raqs-e-sharar tak aae

rang hona tha hamein KHun-e-jigar tak aae

abr-e-rahmat hai to shabnam ki tarah se utre

rang-e-KHushbu ki hawa arz-e-hunar tak aae

is se pahle hi baras jata hai ek abr-e-karam

panw ki dhul uThe aur mere sar tak aae

kyun pareshan hai tu ai mere gum-karda-e-rah

rah dushwar hai lekin mere ghar tak aae

pesh-KHema tha yahi fath-o-zafar ka shayad

zer hote hue lashkar jo zabar tak aae

(488) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zauq-e-nazzara Liye Hum Bhi KHabar Tak Aae In English By Famous Poet Khalid Jamal. Zauq-e-nazzara Liye Hum Bhi KHabar Tak Aae is written by Khalid Jamal. Read famous Poem Zauq-e-nazzara Liye Hum Bhi KHabar Tak Aae for youth and Student by Khalid Jamal. Free Download Zauq-e-nazzara Liye Hum Bhi KHabar Tak Aae in PDF.