Wurud-e-jism Tha Jaan Ka Azab Hone Laga

wurud-e-jism tha jaan ka azab hone laga

lahu mein utra magar zahr aab hone laga

koi to aae sunae nawed-e-taza mujhe

uTho ki hashr se pahle hisab hone laga

use shubah hai jhulas jaega wo sath mere

mujhe ye KHauf ki main aaftab hone laga

phir us ke samne chup ki kaDi labon pe lagi

mera ye mansab-e-harf aab aab hone laga

main apne KHol mein KHush bhi tha mutmain bhi tha

main apni KHak se nikla KHarab hone laga

zarur mujh se ziyaada hai us mein kuchh 'KHalid'

mera harif agar fatah-yab hone laga

(365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wurud-e-jism Tha Jaan Ka Azab Hone Laga In English By Famous Poet Khalid Karrar. Wurud-e-jism Tha Jaan Ka Azab Hone Laga is written by Khalid Karrar. Read famous Poem Wurud-e-jism Tha Jaan Ka Azab Hone Laga for youth and Student by Khalid Karrar. Free Download Wurud-e-jism Tha Jaan Ka Azab Hone Laga in PDF.