Chal Man Liya Sahab-e-kirdar Nahin Hun

chal man liya sahab-e-kirdar nahin hun

par teri tarah hazir-e-darbar nahin hun

dushman hai musafir to use saf bata do

diwar hun main saya-e-diwar nahin hun

atraf mein har chiz ka idrak hai mujh ko

KHwabon mein ghira dida-e-bedar nahin hun

KHamosh hi rahna hai mere waste behtar

main aap ka pairaya-e-izhaar nahin hun

ab to hadaf-e-sang-e-malamat na banao

ab to main sar-e-kucha-e-dildar nahin hun

dil toDne wale ko KHabar ho ki abhi main

sar-ta-ba-qadam ek dil-e-bimar nahin hun

(282) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chal Man Liya Sahab-e-kirdar Nahin Hun In English By Famous Poet Khalid Khwaja. Chal Man Liya Sahab-e-kirdar Nahin Hun is written by Khalid Khwaja. Read famous Poem Chal Man Liya Sahab-e-kirdar Nahin Hun for youth and Student by Khalid Khwaja. Free Download Chal Man Liya Sahab-e-kirdar Nahin Hun in PDF.