Tum Ye Samajh Rahe The Nishane Pe Aa Gaya

tum ye samajh rahe the nishane pe aa gaya

main ghum-phir ke apne Thikane pe aa gaya

darban se ulajhne ka ye faeda hua

bahar wo mere shor machane pe aa gaya

tarif us ke kaam ki mahngi paDi mujhe

wo shaKHs apne dam baDhane pe aa gaya

taswir us ki ghar mein lagane ki der thi

malik-makan mujh ko uThane pe aa gaya

phir yun hua ki pyas hi 'mahbub' mar gai

jis waqt main kuen ke dahane pe aa gaya

(478) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Ye Samajh Rahe The Nishane Pe Aa Gaya In English By Famous Poet Khalid Mahboob. Tum Ye Samajh Rahe The Nishane Pe Aa Gaya is written by Khalid Mahboob. Read famous Poem Tum Ye Samajh Rahe The Nishane Pe Aa Gaya for youth and Student by Khalid Mahboob. Free Download Tum Ye Samajh Rahe The Nishane Pe Aa Gaya in PDF.