Guzri Hui Wo Rut Kabhi Aani To Hai Nahin

guzri hui wo rut kabhi aani to hai nahin

dil ne magar ye baat bhi mani to hai nahin

ai qissa-go ye lahja tera yun kabhi na tha

kuchh to bata ye kya hai kahani to hai nahin

kuchh us ke muskurane se andaza ho to ho

andar ki choT hai nazar aani to hai nahin

phir us gali na jaane pe raazi hua to hai

ab ke bhi dil ne baat nibhani to hai nahin

wo baat ab kahan ki dilon ko kare ghulam

bas ek chamak hai aankh mein pani to hai nahin

duniya tere liye jo guzari guzar di

ab ye jo rah gai hai ganwani to hai nahin

(388) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzri Hui Wo Rut Kabhi Aani To Hai Nahin In English By Famous Poet Khalid Mahmood Zaki. Guzri Hui Wo Rut Kabhi Aani To Hai Nahin is written by Khalid Mahmood Zaki. Read famous Poem Guzri Hui Wo Rut Kabhi Aani To Hai Nahin for youth and Student by Khalid Mahmood Zaki. Free Download Guzri Hui Wo Rut Kabhi Aani To Hai Nahin in PDF.