Ye Rahguzar To Kisi Rahguzar Ka Dhoka Hai

ye rahguzar to kisi rahguzar ka dhoka hai

ki umr bhar ka safar bhi safar ka dhoka hai

KHabar ki raushni ab raushni nahin karti

so ho na ho ye KHabar bhi KHabar ka dhoka hai

yahan to hadd-e-nazar tak hai ek virani

mere guman ye tujhe kis nagar ka dhoka hai

dikhai bhi to kahin de wo dhup aane par

shajar wo hai ki hamin ko shajar ka dhoka hai

isi liye to ye sahra aziz hai ki yahan

na shor-e-shahr-e-bala hai na ghar ka dhoka hai

badalti jati hai duniya kuchh is tarah 'KHalid'

ki jo nazar mein hai samjho nazar ka dhoka hai

(386) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Rahguzar To Kisi Rahguzar Ka Dhoka Hai In English By Famous Poet Khalid Mahmood Zaki. Ye Rahguzar To Kisi Rahguzar Ka Dhoka Hai is written by Khalid Mahmood Zaki. Read famous Poem Ye Rahguzar To Kisi Rahguzar Ka Dhoka Hai for youth and Student by Khalid Mahmood Zaki. Free Download Ye Rahguzar To Kisi Rahguzar Ka Dhoka Hai in PDF.