Hunar-mandi Se Jine Ka Hunar Ab Tak Nahin Aaya

hunar-mandi se jine ka hunar ab tak nahin aaya

safar karte rahe tarz-e-safar ab tak nahin aaya

ghalat hai tere ashkon mein asar ab tak nahin aaya

tujhe rona ai meri chashm-e-tar ab tak nahin aaya

hazaron falsafi qabza kiye baiThe hain zehnon par

mere qabu mein ya-rab mera sar ab tak nahin aaya

paDa rahta hai har dam KHauf ka saya rag-e-jaan par

koi be-KHauf lamha be-KHatar ab tak nahin aaya

hamare sar pe hai saya-fagan ummid ka suraj

hamari rah mein koi shajar ab tak nahin aaya

hamein to qafiya-paimai karna bhi nahin aata

baDa fan hai jo aa jata magar ab tak nahin aaya

wo kahte hain duaen ba-asar hoti hain 'KHalid' ki

main kahta hun koi zer-e-asar ab tak nahin aaya

(568) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hunar-mandi Se Jine Ka Hunar Ab Tak Nahin Aaya In English By Famous Poet Khalid Mahmood. Hunar-mandi Se Jine Ka Hunar Ab Tak Nahin Aaya is written by Khalid Mahmood. Read famous Poem Hunar-mandi Se Jine Ka Hunar Ab Tak Nahin Aaya for youth and Student by Khalid Mahmood. Free Download Hunar-mandi Se Jine Ka Hunar Ab Tak Nahin Aaya in PDF.