Waqt-e-qayam Dast-e-qaza Ne Nahin Diya
waqt-e-qayam dast-e-qaza ne nahin diya
chalne lage to sath hawa ne nahin diya
pahle hi marhale mein qalam ho ke rah gae
dast-e-hunar ko hath dikhane nahin diya
girna to kya bura tha magar us ko kya kahen
jo gir gaya to uThne uThane nahin diya
ab un ki kaj-rawi se shikayat hain hamein
hum ne hi un ko rah pe aane nahin diya
do chaar karen koThiyan das bis lakh bas
is se ziyaada KHauf-e-KHuda ne nahin diya
main sirf telephone ka ehsanmand hun
un ka payam baad-e-saba ne nahin diya
us yar-e-shoKH-chashm se 'KHalid' ka irtibaat
ek raaz tha ki jis ko chhupane nahin diya
(452) Peoples Rate This