Jawab Jis Ka Nahin Koi Wo Sawal Bana

jawab jis ka nahin koi wo sawal bana

main KHwab mein use dekhun koi KHayal bana

main e'tiraf ke mausam mein chup nahin rahta

mere KHuda meri hasti ke KHadd-o-KHal bana

wo kaun hai jo meri hijraton se TuT gaya

wo kaun shaKHs hai jo aaina-misal bana

wo kis ke dhyan mein aaya tha mausamon ki tarah

wo kaun hai jo meri soch ka KHayal bana

main kis yaqin se likkha gaya hun miTTi par

wo kaun hai jo mere silsile ki Dhaal bana

tu iztirab ke rangon se aashna hi nahin

bas ek til ke liye zaiche mein gal bana

main kho gaya hun kahin waqt ke tahayyur mein

mere KHuda mere din raat mah o sal bana

(377) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jawab Jis Ka Nahin Koi Wo Sawal Bana In English By Famous Poet KHalid Malik 'Sahil'. Jawab Jis Ka Nahin Koi Wo Sawal Bana is written by KHalid Malik 'Sahil'. Read famous Poem Jawab Jis Ka Nahin Koi Wo Sawal Bana for youth and Student by KHalid Malik 'Sahil'. Free Download Jawab Jis Ka Nahin Koi Wo Sawal Bana in PDF.