Kisi Bhi Rah Pe Rukna Na Faisla Kar Ke

kisi bhi rah pe rukna na faisla kar ke

bichhaD rahe ho meri jaan hausla kar ke

main intizar ki haalat mein rah nahin sakta

wo intiha bhi kare aaj ibtida kar ke

teri judai ka manzar bayan nahin hoga

main apna saya bhi rakkhun agar juda kar ke

mujhe to bahr-e-bala-KHez ki zarurat thi

simaT gaya hun main duniya ko rasta kar ke

kisi KHayal ka koi wajud ho shayad

badal raha hun main KHwabon ko tajraba kar ke

kabhi na faisla jaldi mein kijiye 'sahil'

badal bhi sakta hai kafir wo bad-dua kar ke

(329) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Bhi Rah Pe Rukna Na Faisla Kar Ke In English By Famous Poet KHalid Malik 'Sahil'. Kisi Bhi Rah Pe Rukna Na Faisla Kar Ke is written by KHalid Malik 'Sahil'. Read famous Poem Kisi Bhi Rah Pe Rukna Na Faisla Kar Ke for youth and Student by KHalid Malik 'Sahil'. Free Download Kisi Bhi Rah Pe Rukna Na Faisla Kar Ke in PDF.