Main Bhi Huzur-e-yar Bahut Der Tak Raha

main bhi huzur-e-yar bahut der tak raha

aankhon mein phir KHumar bahut der tak raha

kal sham mere qatl ki tariKH thi magar

dushman ka intizar bahut der tak raha

ab le chala hai dasht mein mera junun mujhe

is jin pe iKHtiyar bahut der tak raha

wo inkishaf-e-zat ka lamha tha khul gaya

shayad darun-e-ghaar bahut der tak raha

ab dekhte ho koi sahaara mile tumhein

main bhi to ashk-bar bahut der tak raha

tum maslahat kaho ya munafiq kaho mujhe

dil mein magar ghubar bahut der tak raha

main KHak aasman ki bulandi ko dekhta

apnon pe e'tibar bahut der tak raha

ilzam-e-KHud-sari bhi to sabit kiya gaya

main jab ki KHaksar bahut der tak raha

'sahil' meri bala se mera hashr hoga kya

duniya mein ba-waqar bahut der tak raha

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Bhi Huzur-e-yar Bahut Der Tak Raha In English By Famous Poet KHalid Malik 'Sahil'. Main Bhi Huzur-e-yar Bahut Der Tak Raha is written by KHalid Malik 'Sahil'. Read famous Poem Main Bhi Huzur-e-yar Bahut Der Tak Raha for youth and Student by KHalid Malik 'Sahil'. Free Download Main Bhi Huzur-e-yar Bahut Der Tak Raha in PDF.