Taqdir Ke Darbar Mein Alqab PaDe The

taqdir ke darbar mein alqab paDe the

hum log magar KHwab mein be-KHwab paDe the

yaKH-basta hawaon mein thi KHamosh haqiqat

hum soch ki dahliz pe betab paDe the

taswir thi ehsas ki tahrir hawa ki

sahra mein tere aks ke girdab paDe the

kal raat mein jis rah se ghar lauT ke aaya

us rah mein bikhre hue kuchh KHwab paDe the

wo phul jinhen aap ne dekha tha ada se

ujDe hue mausam mein bhi shadab paDe the

pachchis baras baad use dekh ke socha

ek qatra-e-kam-zat mein gharqab paDe the

hum log to aKHlaq bhi rakh aae hain 'sahil'

raddi ke isi Dher mein aadab paDe the

(317) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taqdir Ke Darbar Mein Alqab PaDe The In English By Famous Poet KHalid Malik 'Sahil'. Taqdir Ke Darbar Mein Alqab PaDe The is written by KHalid Malik 'Sahil'. Read famous Poem Taqdir Ke Darbar Mein Alqab PaDe The for youth and Student by KHalid Malik 'Sahil'. Free Download Taqdir Ke Darbar Mein Alqab PaDe The in PDF.