Raat Ka Apna Ek Taqaddus Hai So Use Paemal Mat Karna

raat ka apna ek taqaddus hai so use paemal mat karna

jab diye guftugu ke raushan hon lauTne ka sawal mat karna

mausam-e-yaad ka koi jhonka, ab jo guzre tumhaari KHalwat se

soch lena hamare bare mein, par hamara malal mat karna

rat-jagon ki ruten to KHair yunhi aati jati hain, par ye dhyan rahe

jagna bhi to is saliqe se, apni aankhon ko lal mat karna

hum se darwesh duniya walon se, bas isi baat par ulajhte hain

wahshat-e-jism-o-jaan baDi shai hai KHud ko aasuda-haal mat karna

dasht-e-ibrat-sara mein rahna tu sar se sauda nikal kar rakhna

log dushman kahin na ho jaen koi aisa kamal mat karna

lamha-e-hijr apni wusat mein, aap lazzat hai, zindagi bhar ki

tum bhi 'KHalid-moin' yun karna, umr sarf-e-visal mat karna

(366) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Ka Apna Ek Taqaddus Hai So Use Paemal Mat Karna In English By Famous Poet Khalid Moin. Raat Ka Apna Ek Taqaddus Hai So Use Paemal Mat Karna is written by Khalid Moin. Read famous Poem Raat Ka Apna Ek Taqaddus Hai So Use Paemal Mat Karna for youth and Student by Khalid Moin. Free Download Raat Ka Apna Ek Taqaddus Hai So Use Paemal Mat Karna in PDF.