Main Ki Ek Bani-adam

main ki ek bani-adam

aalam-e-anasir ka

ek KHamir-e-taza-dam

ek hayat mujh mein hai

kaenat mujh mein hai

meri saltanat hai sab

mujh se hai jahan qaem

main hun gardish-e-paiham

rau mein hai lahu har dam

kya KHabar lahu kya hai

ek shorish-e-hasti

ek daKHli tufan

ek mahshar-e-dauran

kya KHabar lahu kya hai

gardishen sitaron ki

gardish aasmanon ki

gardishen zaminon ki

gardishen zamanon ki

kya KHabar lahu kya hai

ye nizam-e-kul jari

yani harkaten sari

sab lahu ki harakat hai

hai lahu ke dam se hi

amn bhi, mohabbat bhi

jang bhi, adawat bhi

shorish o baghawat bhi

kya KHabar lahu kya hai

gardishen lahu ki jab

mujh mein shor karti hain

be-KHudi ke nashshe mein

jism ka har ek KHaliya

raqs karne lagta hai

aur phir ye hota hai

KHushkiyon ka har zarra

paniyon ka har qatra

ek be-badan jazba

raqs karne lagta hai

is jinnon ke aalam mein

zaKHm jag jate hain

dard chiKH uThta hai

aur phir ye hota hai

ruh-o-dil ki wadi mein

naghme gunj uThte hain

naghma-ha-e-sehr-angez

be-karan fazaon mein

la-makan KHalaon mein

soz aur fughan ban kar

miThi lai mein Dhal Dhal kar

jab bikharne lagte hain

aise sehr-alam mein

ek kaif-o-masti ka

nashsha chhane lagta hai

aur phir ye hota hai

kaenat ki har shai

gungunane lagti hai

aur phir wahi naghme

ruh-o-dil ke chhaalon ko

tar, tar zaKHmon ko

nim-jaan karahon ko

lala-zar daghon ko

jagte phaphulon ko

mast loriyan de kar

KHwab ke gulistan mein

lapata zamane tak

yun hi chhoD dete hain

asl mein wahi naghme

dard ka mudawa hain!!

(402) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Ki Ek Bani-adam In English By Famous Poet Khalid Mubashshir. Main Ki Ek Bani-adam is written by Khalid Mubashshir. Read famous Poem Main Ki Ek Bani-adam for youth and Student by Khalid Mubashshir. Free Download Main Ki Ek Bani-adam in PDF.