Tarik Zindagi Ko Banane Laga Hai Wo

tarik zindagi ko banane laga hai wo

suraj se raushni ko churane laga hai wo

likh likh ke mere nam aziyyat ke dasht-o-dar

jagir mere gham ki baDhane laga hai wo

ehsas ki salib liye chal raha hun main

dasht-e-junun mein shor machane laga hai wo

mujh se hi le ke mere saliqe ki raushni

tahzib ki zaban sikhane laga hai wo

taKHliq-e-kaenat ka gar main sabab raha

phir kyun mera waqar ghaTane laga hai wo

parwardigar meri shahadat qubul kar

talwar le ke samne aane laga hai wo

'KHalid' main us ke hath ki tahrir tha magar

harf-e-ghalat samajh ke miTane laga hai wo

(350) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tarik Zindagi Ko Banane Laga Hai Wo In English By Famous Poet Khalid Raheem. Tarik Zindagi Ko Banane Laga Hai Wo is written by Khalid Raheem. Read famous Poem Tarik Zindagi Ko Banane Laga Hai Wo for youth and Student by Khalid Raheem. Free Download Tarik Zindagi Ko Banane Laga Hai Wo in PDF.