DaraKHton Se Juda Hote Hue Patte Agar Bolen

daraKHton se juda hote hue patte agar bolen

to jaane kitne bhule-bisre afsanon ke dar kholen

ikaTThe baiTh kar baaten na phir shayad mayassar hon

chalo in aaKHiri lamhon mein ji bhar kar hansen bolen

hawa mein bas gai hai phir kisi ke jism ki KHushbu

KHayalon ke parinde phir kahin uDne ko par taulen

jahan the muttafiq sab apne begane Dubone ko

usi sahil pe aaj apni ana ki sipiyan rolen

bhanwar ne jin ko la phenka tha is be-rahm sahil par

hawaen aaj phir un kashtiyon ke baadban kholen

na koi rokne wala na koi Tokne wala

akele aaine ke samne hans len kabhi rolen

(469) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DaraKHton Se Juda Hote Hue Patte Agar Bolen In English By Famous Poet Khalid Sharif. DaraKHton Se Juda Hote Hue Patte Agar Bolen is written by Khalid Sharif. Read famous Poem DaraKHton Se Juda Hote Hue Patte Agar Bolen for youth and Student by Khalid Sharif. Free Download DaraKHton Se Juda Hote Hue Patte Agar Bolen in PDF.