Wo To Gaya Ab Apni Ana Ko SameT Le

wo to gaya ab apni ana ko sameT le

ai gham-gusar dast-e-dua ko sameT le

baalon mein apne Dal le ab KHak-e-ku-e-yar

banhon mein us gali ki hawa ko sameT le

miTTi ki ek lakir bhi kah degi dastan

chalne ka shauq hai to rida ko sameT le

in aablon ki raushni bhaTkegi shahr mein

ai kucha-gard gardish-e-pa ko sameT le

lafzon ko tark kar de ki in ko nahin sabaat

aankhon mein aaj apni wafa ko sameT le

bas ek chup hi tere labon par saji rahe

bas apne dil mein sail-e-bala ko sameT le

'KHalid' kabhi to tazkira-e-jaan suna hamein

apni sada mein KHauf-e-sada ko sameT le

(463) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo To Gaya Ab Apni Ana Ko SameT Le In English By Famous Poet Khalid Sharif. Wo To Gaya Ab Apni Ana Ko SameT Le is written by Khalid Sharif. Read famous Poem Wo To Gaya Ab Apni Ana Ko SameT Le for youth and Student by Khalid Sharif. Free Download Wo To Gaya Ab Apni Ana Ko SameT Le in PDF.