Kahti Hui Ye Mujhse Hawa-e-sahar Gai

kahti hui ye mujh se hawa-e-sahar gai

dasht-e-talab mein shabnam-e-ehsas mar gai

rakkha na tha qadam abhi dasht-e-sukut mein

aawaz meri apne hi sae se Dar gai

main us ka nauha ban ke andhere mein ghul gaya

wo ek kiran jo mere liye dar-ba-dar gai

main likh raha tha phul ki patti pe tera nam

kanTe ki nok sina-e-gul mein utar gai

mahfil mein raat nit-nae chehron ke shor mein

wo kaun tha ki jis se lipaTne nazar gai

jis se thi aabru-e-talatum wo mauj bhi

'KHalid' kanar-e-KHak pe sar rakh ke mar gai

(433) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kahti Hui Ye Mujhse Hawa-e-sahar Gai In English By Famous Poet Khalid Shirazi. Kahti Hui Ye Mujhse Hawa-e-sahar Gai is written by Khalid Shirazi. Read famous Poem Kahti Hui Ye Mujhse Hawa-e-sahar Gai for youth and Student by Khalid Shirazi. Free Download Kahti Hui Ye Mujhse Hawa-e-sahar Gai in PDF.