Samundar Aur Tishnagi

samundar ke kinare

chandni raaton mein baiTha

un hasin shamon ko akasr yaad karta hun

wo shamen jab wo mere sath hoti thi

samundar ki nihayat shoKH lahron mein

ikaTThe hum bhi patthar phenkte the

aur phir hum khilkhila kar hans dete the

magar ab chandni raaton mein jab main

sair ko jata hun tanhai ka kambal oDh leta hun

samundar ke kinare jab bhi gahri soch mein Dubun

udasi KHamushi se pas aa kar baiTh jati hai

mere kandhe pe hamdardi se apna hath rakhti hai

wo kuchh kahti nahin lekin mujhe malum hai wo

is faza aur meri aankhon ki nami mahsus karti hai

nami jo muddaton ke baad bhi mujh ko bahut maghmum rakhti hai

(349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samundar Aur Tishnagi In English By Famous Poet Khalid Suhail. Samundar Aur Tishnagi is written by Khalid Suhail. Read famous Poem Samundar Aur Tishnagi for youth and Student by Khalid Suhail. Free Download Samundar Aur Tishnagi in PDF.