Aa Raha Hai Mere Guman Mein Kya

aa raha hai mere guman mein kya

koi rahta tha is makan mein kya

wo tapish hai ki jal uThe sae

dhup rakkhi thi saeban mein kya

ek teri did ki tamanna hai

aur rakkha hai is jahan mein kya

kya hamesha hi aisa hota hai

moD aata hai darmiyan mein kya

ki mere baad qatl se tauba

aaKHiri tir tha kaman mein kya

gungi bahri basaraton ke liye

KHwab likkhe the imtihan mein kya

kya sukun ki talash hai sab ko

ek halchal si hai jahan mein kya

ret si uD rahi hai kyun 'uzma'

lag gaya ghun kisi chaTan mein kya

(501) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aa Raha Hai Mere Guman Mein Kya In English By Famous Poet Khalida Uzma. Aa Raha Hai Mere Guman Mein Kya is written by Khalida Uzma. Read famous Poem Aa Raha Hai Mere Guman Mein Kya for youth and Student by Khalida Uzma. Free Download Aa Raha Hai Mere Guman Mein Kya in PDF.