Darmiyan KHud Apni Hasti Ho To Hum Bhi Kya Karen
darmiyan KHud apni hasti ho to hum bhi kya karen
aaina dekhen ki apne-ap se parda karen
haal ke sailab mein to bah gai mazi ki lash
dafn ab kis ki gali mein hum gham-e-farda karen
ek do pal hi rahega sab ke chehron ka tilism
koi aisa ho ki jis ko der tak dekha karen
ye to sach hai zahr lagte hain hamein basti ke log
kis tawaqqo par magar aabaad ye sahra karen
sar-phire sab jama hon sab ke saron par ho charagh
bas chale to hum bhi aisa jashn ek barpa karen
(393) Peoples Rate This