Pina Nahin Haram, Hai Zahr-e-wafa Ki Shart

pina nahin haram, hai zahr-e-wafa ki shart

aao uTha den aaj mai-e-jaan-faza ki shart

shoridgi-e-sar ke liye sang-e-dar ki qaid

zanjir-e-gham ke waste zulf-e-dota ki shart

ho dopahar ki dhup to palkon ke saeban

raaten guzarni hon to kali bala ki shart

ye kya zarur ho mizha-e-ishq KHun-fishan

kyun dast-e-naz ke liye rang-e-hina ki shart

har dil-figar ke liye kyun chaak-e-pairahan

har dil-nawaz ke liye band-e-qaba ki shart

kya farz hai ki hum bhi banen qais-e-amiri

rah-e-junun mein kyun ho kisi naqsh-e-pa ki shart

kyun dil ke toDne ko kahen rasm-e-dilbari

kyun ho kisi se wada-e-sabr-azma ki shart

kyun ho kisi ko kucha-e-qatil ki justuju

kyun imtihan ke waste tegh-e-jafa ki shart

kyun zindagi ko jabr-e-musalsal ka nam den

kyun aarzu-e-maut ko dast-e-dua ki shart

kyun har ghaDi zaban pe ho jurm-o-saza ka zikr

kyun har amal ki fikr mein KHauf-e-KHuda ki shart

hum ne KHud apne-ap zamane ki sair ki

hum ne qubul ki na kisi rahnuma ki shart

(354) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pina Nahin Haram, Hai Zahr-e-wafa Ki Shart In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Pina Nahin Haram, Hai Zahr-e-wafa Ki Shart is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Pina Nahin Haram, Hai Zahr-e-wafa Ki Shart for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Pina Nahin Haram, Hai Zahr-e-wafa Ki Shart in PDF.