Sharab Dhalti Hai Shishe Mein Phul Khilte Hain

sharab Dhalti hai shishe mein phul khilte hain

chale bhi aao ki ab donon waqt milte hain

jo ho sake to gale mil ke ro le ai gham-KHwar

ki aansuon hi se daman ke chaak silte hain

ye aur baat kahani si koi ban jae

harim-e-naz ke parde hawa se hilte hain

mere lahu se moattar tere labon ke gulab

teri wafa se kanwal mere dil ke khilte hain

dhaDak raha hai masarrat se kaenat ka dil

kabhi ke bichhDe hue dost aaj milte hain

(414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sharab Dhalti Hai Shishe Mein Phul Khilte Hain In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Sharab Dhalti Hai Shishe Mein Phul Khilte Hain is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Sharab Dhalti Hai Shishe Mein Phul Khilte Hain for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Sharab Dhalti Hai Shishe Mein Phul Khilte Hain in PDF.