Mera Ghar Mera Virana

didani hai ye mera ghar mera virana bhi

is guzargah pe kuchh der Thahar ja sayyah

mujh ko malum hai tu sara jahan dekh chuka

han ufuq-ta-ba-ufuq sari zamin dekhi hai

tu ne aiwan bhi dekhe hain khanDar bhi dekhe

wadiyan dekhin pahaDon ki jabin dekhi hai

meri duniya mein zara dekh ki is duniya ko

dekhne walon ne ab tak kabhi dekha hi nahin

main fasana hun koi chahe to mujh ko likh le

par mera haal kisi ne kabhi puchha hi nahin

tujh ko ai dost dikhaun ki kahan rahta hun

ye wo ghar hai ki jo shayad kabhi ho sakta tha ghar

tujh ko shayad na nazar aae magar ye sach hai

is ke sine mein hain poshida mere lal-o-gohar

ye zamin ujDi hui TuTi hui hai diwar

par isi kokh mein dharti ki hai sarmaya mera

main jo is waqt nazar aata hun ye main nahin hun

meri taswir hai dhundla sa hai ye saya mera

meri taswir ki aankhon mein basa hai ek shahr

is mein hain unche mahal jo main bana sakta tha

is mein hain meri wo KHushiyan ki jo mil sakti thin

is mein hai meri wo manzil jo main pa sakta tha

is mein hain meri mohabbat ke wo sare arman

jin se mahrum raha mera ye bedar shabab

is mein hain meri kitaben ki jo likkhi na gain

is mein hain mere wo ashaar nahin jin ka jawab

han yahin dafn hain wo sari kitaben jin ko

zindagi deti jo fursat to main likh sakta tha

isi miTTi mein hain wo nazmen wo ghazlen meri

jin ko kahne koi deta to main kah sakta tha

mere sayyah bahut tu ne maqabir dekhe

sach kaha sadiyon mein ek taj-mahal banta hai

han magar meri tarah roz hi insan koi

zinda rahne ke liye dahr mein mar jata hai

(453) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Ghar Mera Virana In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Mera Ghar Mera Virana is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Mera Ghar Mera Virana for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Mera Ghar Mera Virana in PDF.