Dilbaron Ke Raaz Ka Mahram Hua

dilbaron ke raaz ka mahram hua

dard se dil misl-e-jam-e-jam hua

raat-din aansu bahe matam hua

dard furqat ka na lekin kam hua

rah gaya hun ban ke ek taswir-e-gham

gham ke hathon hae kya aalam hua

zaKHm khae ek muddat ho gai

soz-e-dil lekin nahin maddham hua

dard-e-ulfat ki hasin tashkil mein

imtizaj shoala-o-shabnam hua

ek uThna tha nigah-e-naz ka

donon aalam ka ajab aalam hua

pur-KHatar pur-pech hai rah-e-hayat

chal saka jitna bhi jis mein dam hua

phir saba mein hai nai diwangi

kya mizaj-e-zulf phir barham hua

waqt ne paiham lagae dil pe zaKHm

waqt KHud hi un ka phir marham hua

aai ek allahu-akbar ki sada

sar mera pesh-e-sanam jab KHam hua

na-rasa jitne rahe nale mere

is qadar iman mera mohkam hua

raaz se ahl-e-hawas hain munharif

ye bhi goya sajda-e-adam hua

(338) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dilbaron Ke Raaz Ka Mahram Hua In English By Famous Poet Khalilur Rahman Raz. Dilbaron Ke Raaz Ka Mahram Hua is written by Khalilur Rahman Raz. Read famous Poem Dilbaron Ke Raaz Ka Mahram Hua for youth and Student by Khalilur Rahman Raz. Free Download Dilbaron Ke Raaz Ka Mahram Hua in PDF.