Na Nazar Ki Dida-wari Rahi Na Jigar Ki Be-jigari Rahi

na nazar ki dida-wari rahi na jigar ki be-jigari rahi

magar ahl-e-dawa-e-shauq se teri barham-e-naz bhari rahi

kabhi jag uTha kabhi so gaya kabhi khil uTha kabhi kho gaya

dil-mast jam-e-jamal ko na KHabar na be-KHabari rahi

ye ajab hawas ka dayar hai yahan aam ana ka KHumar hai

mujhe apne sahra se pyar hai mujhe ras dar-ba-dari rahi

na dil-o-dimagh ko hai sukun na zaman makan ko qarar hai

main safar mein hun ki hazar mein hun meri zindagi safari rahi

kahin chand jugnu parinda rut kahin rang dhup dhanak nirt

mere daur mein dil-e-muztarib ye ghazal ki shishagari rahi

yahan makr bhi hai jadal bhi hai yahan bal ke sath mein chhal bhi hai

fan-e-tesha-gar ke kamal se zan-e-hila-gar hi khari rahi

ye tabassum-e-sar-e-anjuman wo adawaton ke dilon mein phan

nae daur mein nai nasl ki yahi shan-e-dida-wari rahi

jo KHuda-shanas nahin hua kabhi KHud-shanas na ho saka

wo jo munkirin-e-KHuda hue unhen KHud se be-KHabari rahi

mere fan ke zauq-e-latif ko sanad ahl-e-zauq ki chahiye

magar aaj tak sar-e-anjuman ye talab dhari ki dhari rahi

jo the taliban-e-ilaj-e-gham unhen gahri nind sula diya

na maraz raha na mariz hi ye ghazab ki chaaragari rahi

(426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Nazar Ki Dida-wari Rahi Na Jigar Ki Be-jigari Rahi In English By Famous Poet Khalilur Rahman Raz. Na Nazar Ki Dida-wari Rahi Na Jigar Ki Be-jigari Rahi is written by Khalilur Rahman Raz. Read famous Poem Na Nazar Ki Dida-wari Rahi Na Jigar Ki Be-jigari Rahi for youth and Student by Khalilur Rahman Raz. Free Download Na Nazar Ki Dida-wari Rahi Na Jigar Ki Be-jigari Rahi in PDF.