Sach Hai Gham-e-firaq Mein Hum Ro Nahin Sake

sach hai gham-e-firaq mein hum ro nahin sake

wo bhi tamam raat magar so nahin sake

be-faeda hai chahna asnam se wafa

ye sang-dil kisi ke kabhi ho nahin sake

patthar ke log hain jahan shishe ke baam-o-dar

hum us zamin mein dard-e-wafa bo nahin sake

sine mein ek dagh laga aur umr-bhar

dhote rahe wo dagh magar dho nahin sake

aadab-e-parda-dari-e-zabt-e-fughan na puchh

tufan dil mein uThte rahe ro nahin sake

ranginiyon ke ahd mein KHushiyon ke daur mein

chaha ghamon ko khona magar kho nahin sake

tasKHir-e-mahtab mukammal to ho gai

daman mein us ke ek bhi pal so nahin sake

ayyari-e-siyasat-e-ahbab dekhiye

chaha kisi ke ho ke rahen ho nahin sake

(346) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sach Hai Gham-e-firaq Mein Hum Ro Nahin Sake In English By Famous Poet Khalilur Rahman Raz. Sach Hai Gham-e-firaq Mein Hum Ro Nahin Sake is written by Khalilur Rahman Raz. Read famous Poem Sach Hai Gham-e-firaq Mein Hum Ro Nahin Sake for youth and Student by Khalilur Rahman Raz. Free Download Sach Hai Gham-e-firaq Mein Hum Ro Nahin Sake in PDF.