Hausla De De Ke Uncha Mera Sar Usne Kiya

hausla de de ke uncha mera sar us ne kiya

zulm ke aage mujhe sina-sipar us ne kiya

pyar se sab dushmanon ke dil mein ghar us ne kiya

dosti ka marka is tarah sar us ne kiya

jin ko pine ka saliqa tha na jine ka shuur

band un logon pe maiKHane ka dar us ne kiya

pahle to diwar uThai shahr ke chaaron taraf

phir usi diwar mein ek roz dar us ne kiya

pahle apna gham tha par us ka tha ab duniya ka hai

dhire dhire ek paude ko shajar us ne kiya

kaun si shai thi jo is dharti ke daman mein na thi

phir na jaane kyun KHalaon ka safar us ne kiya

jo 'KHalish' waqif na the sher-o-suKHan ke nam se

aam un logon pe 'ghaalib' ka hunar us ne kiya

(356) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hausla De De Ke Uncha Mera Sar Usne Kiya In English By Famous Poet Khalish Barodvi. Hausla De De Ke Uncha Mera Sar Usne Kiya is written by Khalish Barodvi. Read famous Poem Hausla De De Ke Uncha Mera Sar Usne Kiya for youth and Student by Khalish Barodvi. Free Download Hausla De De Ke Uncha Mera Sar Usne Kiya in PDF.