Aashiq Jo Is Gali Ka Bhi Mar Kar Chala Gaya

aashiq jo is gali ka bhi mar kar chala gaya

duniya se ek aur qalandar chala gaya

ghurbat ka apne haal tujhe aur kya kahun

ek din to ek faqir bhi uTh kar chala gaya

firaun apne daur ka zinda hai aaj bhi

duniya samajh rahi thi sitamgar chala gaya

chaqu pe hai nishan kisi be-gunah ka

qatil to hath mein liye KHanjar chala gaya

wo tinka joD kar ke nasheman jo tha bana

basti ki aag mein wo mera ghar chala gaya

ummid kar chuka tha nae sal se bahut

ek aur zaKHm de ke december chala gaya

laila se jo mila tha wo patthar liye hue

'jaanbaz' apne shahr se bahar chala gaya

(491) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashiq Jo Is Gali Ka Bhi Mar Kar Chala Gaya In English By Famous Poet Khan Janbaz. Aashiq Jo Is Gali Ka Bhi Mar Kar Chala Gaya is written by Khan Janbaz. Read famous Poem Aashiq Jo Is Gali Ka Bhi Mar Kar Chala Gaya for youth and Student by Khan Janbaz. Free Download Aashiq Jo Is Gali Ka Bhi Mar Kar Chala Gaya in PDF.