Hisar-e-gham Se Jo Nikle Bhi To Kidhar Aae

hisar-e-gham se jo nikle bhi to kidhar aae

bahut malal hua lauT ke jo ghar aae

dikhai kuchh na de lekin meri nigahon ko

tere jamal ka manzar faqat nazar aae

tumhaare dar se guzar jaun aur KHabar bhi na ho

mere safar mein ek aisi bhi rahguzar aae

tamam umr main zad mein raha hun raaton ki

mere KHuda mere hisse ki ab sahar aae

(370) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hisar-e-gham Se Jo Nikle Bhi To Kidhar Aae In English By Famous Poet Khan Rizwan. Hisar-e-gham Se Jo Nikle Bhi To Kidhar Aae is written by Khan Rizwan. Read famous Poem Hisar-e-gham Se Jo Nikle Bhi To Kidhar Aae for youth and Student by Khan Rizwan. Free Download Hisar-e-gham Se Jo Nikle Bhi To Kidhar Aae in PDF.